iltija-e-musafir

farishte padhte hain jis ko wo nam hai tera
badi janab teri faiz aam hai tera
sitare ishq ke teri kashish se hain qaem
nizam-e-mehr ki surat nizam hai tera
teri lahad ki ziyarat hai zindagi dil ki
masih o khizr se uncha maqam hai tera
nihan hai teri mohabbat mein rang-e-mahbubi
badi hai shan bada ehtiram hai tera
agar siyah dilam dagh-e-lala-zar-e-tawam
digar kushada jabinam gul-e-bahaar-e-tawam
chaman ko chhod ke nikla hun misl-e-nikhat-e-gul
hua hai sabr ka manzur imtihan mujh ko
chali hai le ke watan ke nigar-khane se
sharab-e-ilm ki lazzat kashan kashan mujh ko
nazar hai abr-e-karam par darakht-e-sahra hun
kiya khuda ne na mohtaj-e-baghban mujh ko
falak-nashin sifat-e-mehr hun zamane mein
teri dua se ata ho wo nardban mujh ko
maqam ham-safaron se ho is qadar aage
ki samjhe manzil-e-maqsud karwan mujh ko
meri zaban-e-qalam se kisi ka dil na dukhe
kisi se shikwa na ho zer-e-asman mujh ko
dilon ko chaak kare misl-e-shana jis ka asar
teri janab se aisi mile fughan mujh ko
banaya tha jise chun chun ke khar o khas main ne
chaman mein phir nazar aae wo aashiyan mujh ko
phir aa rakhun qadam-e-madar-o-pidar pe jabin
kiya jinhon ne mohabbat ka raaz-dan mujh ko
wo sham-e-bargah-e-khandan-e-murtazwi
rahega misl-e-haram jis ka aastan mujh ko
nafas se jis ke khili meri aarzu ki kali
banaya jis ki murawwat ne nukta-dan mujh ko
dua ye kar ki khudawand-e-asman-o-zamin
kare phir us ki ziyarat se shadman mujh ko
wo mera yusuf-e-sani wo sham-e-mahfil-e-ishq
hui hai jis ki ukhuwwat qarar-e-jaan mujh ko
jala ke jis ki mohabbat ne daftar-e-man-o-tu
hawa-e-aish mein pala kiya jawan mujh ko
riyaz-e-dahr mein manind-e-gul rahe khandan
ki hai aziz-tar az-jaan wo jaan-e-jaan mujh ko
shagufta ho ke kali dil ki phul ho jae
ye iltija-e-musafir qubul ho jae

abul-ala-marri

kahte hain kabhi gosht na khata tha marri
phal-phul pe karta tha hamesha guzar-auqat
ek dost ne bhuna hua titar use bheja
shayad ki wo shatir isi tarkib se ho mat
ye khwan-e-tar-o-taza marri ne jo dekha
kahne laga wo sahib-e-ghufran-o-luzumat
ai murghak-e-bechaara zara ye to bata tu
tera wo gunah kya tha ye hai jis ki mukafat?
afsos-sad-afsos ki shahin na bana tu
dekhe na teri aankh ne fitrat ke ishaaraat!
taqdir ke qazi ka ye fatwa hai azal se
hai jurm-e-zaifi ki saza marg-e-mufajat!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close